Site menuSearchCalendar
Our pollTotal online: 1 Guests: 1 Users: 0 |
Abdullah Kamaal
YahaaN kisii ko koii vaastaa kissi se nahiiN
yah soch kar maiN rukaa thaa ki aasmaaN hai yahaaN
zamiiN bhii paaoN ke niiche, so ab dhuvaaN hai yahaaN na koii Khwaab na Khwaahish, na Gam na Khushii voh be-hisii hai ki har shaKhs raaigaaN hai yahaaN yahaaN kisii ko koii vaastaa kissi se nahiiN kisii ke baare meN kuchh sochnaa ziyaaN hai yahaaN uThaaye phirte haiN diivar-e-giryaa pusht pe log nafs nafs meN ajab mahshar-e-fuGaaN hai yahaaN |
![]() |